Loss of a Mother (Urdu)

2 min read

Deviation Actions

devilzdad's avatar
By
Published:
6.4K Views
Loss of a Mother

Mujhay raat gay tak bahir rahnay per rokti rahti thi
Main us ki baatain sun kar hansi mein uchaal data tha

Kal say jaldi aaon ga kah ker taal deta tha
Who mujhay deekh kar muskra deti thi

Aur pyaar say chapat laga dati thi
Main usay bohat satata tha bohat nakhray deekhata tha

Who her baar meray naaz uthati thi
Who meray sadkay wari jati thi

Raat kay kisi pahar bhi ghar jo aata us ko apna muntizar pata
Din raat us kay pyaar ki barsat hoti
Us ki duwahain hameesha meray saath hotin

PER AB

Zindagi main who baat nahi hai
Kyu kah who meray saath nahi hai

Us kay pyaar bina dil ki zameen sookhi hai
Ek wohi mukhlis thi sari duniya rokhi hai

Ghar jab loton who nigahain dhoondta hon
Sama jaon jin main who bahain dhoondta hon

Un jaghoon ko deekhta rahta hon jahan beth kay who mera intzaar karti thi
Main ghantoon apna chahra deekhta hon jahan who mujhay pyaar karti thi

Teri dua kay bagair sarkon per nikal jata hon
Her kadam her rastay per thoker khata hon

Maan to meray liay khuda ki soorat hai
Tu lout aa kah mujhay abhi teri zaroorat hai

Main ghar jaldi lout aaon ga Khuda kasam tujhay kabhi na sataon ga
Teri khidmat sobha shaam karon ga jo kahay gi who her kaam karon ga

Meray kaan phir say muntizar hain ek baar phir who lori suna day
Ek arsa hua main soya nahi

Tu apni goud main mujhay sula day
Kaash kabhi aisi duyahaan na martein
Kaash kisi ki maien na martein

I LOVE U MOM
© 2009 - 2024 devilzdad
Comments8
Join the community to add your comment. Already a deviant? Log In
scilentnoise's avatar
extremely good n veryyyyyyyyyyyyyy touching!
may Allah rest her soul in eternal peace
aameen